"?m=1" Redirect Error Kya Hota Hai?
Jab aap kisi blog post ya page ko access karte hain aur URL me "?m=1" add hota hai to yeh website ko mobile version me redirect karta hai. Lekin agar URL sahi tarike se configure nahi kiya gaya hai to aapko "redirect error" ya "page not found" ka message dekhne ko mil sakta hai. Yeh mobile users ke liye ek samasya ban sakta hai jisse unhe content tak pahunchne me dikkat hoti hai.
Yah Kyon Aati Hai?
1. Incompatible Theme : Agar aapka blog theme mobile-friendly nahi hai to "?m=1" parameter kaam nahi karega.
2. Configuration Issues : Agar aapne website ki configuration sahi tarike se nahi ki hai to redirect errors aa sakte hain.
3. Broken Links : Agar aapki website par kuch links outdated hain ya unhe sahi tarike se update nahi kiya gaya hai to bhi yeh error dikhai de sakta hai.
Solution
Iska solution karne ke liye niche jo link diya hai use par click karke apna original post ya website ka link paste kare. Phir iPhone 4 select kare uske baad "Analyse" par click kare. Fir do link Niche Aaenge unme se jis link me last me "?m=1" likha ho use link ko copy karke indexing ke liye Google Search Console me bhej do.